The ghazal
Read it in Urdu script-
Kyu Pochta hai mujhse yeh an gina't sawal Jab bhi aata hai mere dil mein yu Tera Khayal
-
Kyu kar gya muntazir, kiya jina mera muhaal Jab bhi aata hai mere dil mein yu Tera Khayal
-
Kyu takhayyur mein na laya k ban jayga Jan-e wabal Jab bhi aata hai mere dil mein yu Tera Khayal
-
Kyu kar na paya ruswa mujhe, thi kya meri majaal Jab bhi aata hai mere dil mein yu Tera Khayal
-
Kyu kar bhula du main teri woh baatien thi ba-kamaal Jab bhi aata hai mere dil mein yu Tera Khayal
-
Kyu kar na dekh pata hu kahien aur tujh jaisa Jamaal Jab bhi aata hai mere dil mein yu Tera Khayal
-
Kyu kar na ho rashQ mujhe woh yaadein hai be-misaal Jab bhi aata hai mere dil mein yu Tera Khayal
-
Kyu chhaha iss Qadar MOHSIN ke ab ho raha malaal Jab bhi aata hai mere dil mein yu Tera Khayal
Submitted by Mohsen Iqbal


