Skip to content
SadPoetry
EN

Chal Urr Ja Ray Panchhi

Ghazal 5 couplets
Share
Make a card
  1. Chal Urr Ja Ray Panchhi Ke Ab Yeh Dais Sun-hwa Be Ganah Chal Urr Ja Ray Panchhi...

  2. Khatam Hue Din Is Daali Ke Jis Par Tera Basera Tha Aaj Yahan Aur Kal Ho Wahan Yeh Jogi Wala Phera Tha Yeh Teri Jageer Nahi Thi Chaar Gharri Ka Dera Tha Sada Raha Hai Is Duniya Mein Kis Ka Aabb O Dana Chal Urr Ja Ray Panchhi Ke Ab Yeh Dais Sun-hwa Be Ganah Chal Urr Ja Ray Panchhi...

  3. Too Naay Tinka Tinka Chuun Kar Nagri Aik Basai Barish Mein Teri Bheegi Kayaa Dhoop Mein Garmi Khayi Gham Nah Kar Jo Teri Mehnat Tairay Kaam Nah Aayi Acha Hai Kuch Le Janey Se Day Kar Hi Kuch Jana Chal Urr Ja Ray Panchhi Ke Ab Yeh Dais Sun-hwa Be Ganah Chal Urr Ja Ray Panchhi...

  4. Bhool Ja Ab Woh Mast Sun-hwa, Woh Urna Daali Daali Jug Ki Aankhh Ka Kaanta Ban Gayi Chaal Teri Matwaali Kon Bhala Is Baagh Ko Pouchye Ho Nah Jis Ka Maali Teri Qismat Mein Likha Hai Jeetay Jee Mar Jana Chal Urr Ja Ray Panchhi Ke Ab Yeh Dais Sun-hwa Be Ganah Chal Urr Ja Ray Panchhi...

  5. Rotay Hain Woh Pankh Pakhero Sath Tairay Jo Khailay Jin Ke Sath Lagaye Too Naay Armanon Ke Melay Bheegi Akhion Se Hi Un Ki Aaj Duayen Le Le Kis Ko Pata Ab Is Nagri Mein Kab Ho Tera Aana Chal Urr Ja Ray Panchhi Ke Ab Yeh Dais Sun-hwa Be Ganah Chal Urr Ja Ray Panchhi...

Submitted by Arif Muzaffarpuri

Report a mistake

More Urdu Ghazal

See all