Tumhe kisi aur ka aur hamein tumhara kardiya

Muashray ki bandishon ne hamein nakara kar diya
Tumhe kisi aur ka aur hamein tumhara kardiya

To khud to ho gayi pakizgee ka paiker
Logon ke saamna hamein aawara kar diya

Ab kuch nahi bacha is haqeer ki jholi mein
Dil hi tha woh bhi tairay naam sara ka sara kar diya

Teri be wafai ki mein kya daad doun ke
Mujhe bhi sath rakha aur usay bhi ishara kar diya

Us ne mohabbat ki yeh kahani bana kar anas
Aashiq aur ishq dono ko be sahara kar diya

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments