853 poems
Bzahir saadgi se muskura kar dekhnay walo Koi kambakht nawaqif agar deewana ho jaye
Auron ki taraf to daikhta hai Idhar bhi to kar nigah zalim
Talluq Kirchiyun Ki Shakal Mein Bikhra To Hai Phir Bhi Shakista Aaiinon Ko Jor Dena Chahtay Hain Ham
Mein sach kahoon gi magar phir bhi haar jaoon gi Woh jhoot bolay ga aur laa jawab kar day ga
Kharch itna bhi nah kar mujh ko zamane ke liye Kuch to reh jaoon mein kaam apny bhi anay ke liye
Har ghari khud se ulajhna hai muqaddar mera Mein hi kashti hon mujhi mein hai samandar mera
Ain mumkin tha ke mein teray kye par sabr hi kar jata Magar afsos! Ke meri talkhiyan bhi na guzeer thehreeren
Aawaz day ke dekh lo shayad woh mil hi jaye Warna yeh umar bhar ka safar raaygan to hai
Dunya to chahti hai yunhi faaslay rahen Dunya ke mashwaron pay nah ja us gali mein chal
Raat bhi neend bhi kahani bhi Haae kya cheez hai jawani bhi
Ik fursat gunah mili woh bhi chaar din Dekhe hain hum ne hauslay parvar-digaar ke
Koshishain khaak hoyen khud ke hansane ki khalish Ehd-e qismat tha hmain yun hi rulaye rakhnaShafiq Khalish
Sada aik hi rukh nahi nao chalti Chalo tum idhar ko hawa ho jidhar ki
Aaj tak apni jagah dil mein nahi apne hui Yaar ke dil mein bhala pucho to ghar kyun kar karen
Mein ne jo likh diya woh khud hai gawahi apni Jo nahi likha abhi us ki basharat dun ga
Jis simat bhi dekho nazar aata hai ke tum ho Ay jaan-e jahan ye koi tum sa hai ke tum ho
Aik aaina ro bah ro hai abhi Us ki khushbu se guftagu hai abhi
Tumhari arzoo mein main ne apni arzoo ki thi Khud apni justojoo ka aap haasil ho gaya hon mein
Meri roshni tre khad o khhaal se mukhtalif to nahi magar To qareeb aa tujhe dekh lon to wohi hai ya koi aur hai
Safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo Sabhi hain bheer mein tum bhi nikal sako to chalo
Showing 60 of 853