Ham safar chahye

Ham safar chahye hajoom nahi
Ik musafir bhi qafla hai mujhy
Read our latest collection of Safar poetry from popular urdu poets. Our poetry collection is updated regularly.
Hazaar Raah Chalay Phir Woh Reh Guzar Aayi
Ke Ik Safar Mein Rahay Aur Har Safar Se Gaye
Ik Umer Se Fareb-e Safar Kha Rahay Hain Ham
Ma’aloom Hi Nahi Kidhr Ja Rahe Hain Ham
Pichlle Safar Mein Jo Kuch Beeta Beeet Gaya Yaaro Lekin
Agla Safar Jab Bhi Tum Karna Dekho Tanha Mat Karna
Safar Peche Ki Janab Hai Qadam Aage Hai Mera
Mein Borha Hota Jata Hun Jawan Hone Ki Khatir
Ik Safar Mein Koi Dobara Nahi Lut Sakta
Ab Dobara Teri Chahat Nahi Ki Ja Sakti
Aankhon Main Intezaar Ke Lamhat Sonp Kar
Neendain Bi Le Gaya Wo Apne Safr Ke Sath
Apni Marzi Se Kahan Apny Safar Ke Ham Hain
Rukh Hawaon Ka Jidhar Ka Hai Udhar Ke Ham Hain