The ghazal
Read it in Urdu script-
Roz Taaron Ko Numaish Mein Khalal Parta Hai Chand Pagal Hai Andheray Mein Nikal Parta Ha
-
Aik Dewana Musafir Hai Meri Aankhon Mein Waqt Be Waqt Thehrta Hai Chal Parta Hai
-
Apni Tabeer Ke Chakar Mein Mera Jagta Khwab Roz Suraj Ki Tarah Ghar Se Nikal Parta Hai
-
Roz Pathar Ki Hamayat Mein Ghazal Likhte Hain Roz Sheshon Se Koi Kaam Nikal Parta Hai
-
Us Ki Yaad Ayi Hai Saanson Zara Aahista Chalo Dharkno Se Bi Ibadat Mein Khalal Parta Hai



