The ghazal
Read it in Urdu script-
Gaye dinon ka suragh le kar kidhar se aaya kidhar gaya wo Ajeeb manoos ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo
-
Bas ek moti si chhab dikha kar bas ek meethi si dhun suna kar Sitara-e-sham ban ke aaya ba-rang-e-khwab-e-sahar gaya wo
-
Khushi ki rut ho ki gham ka mausam nazar use dhoondti hai har dam Wo bu-e-gul tha ki naghma-e-jan mire to dil mein utar gaya wo
-
Na ab wo yadon ka charhta dariya na fursaton ki udaas barkha Yoonhi zara si kasak hai dil mein jo zakhm gahra tha bhar gaya wo
-
Kuchh ab sambhalne lagi hai jaan bhi badal chala daur-e-aasman bhi Jo raat bhari thi tal gai hai jo din kara tha guzar gaya wo
-
Bas ek manzil hai bul-hawas ki hazar raste hain ahl-e-dil ke Yahi to hai farq mujh mein us mein guzar gaya main thahar gaya wo
-
Shikasta-pa raah mein khara hoon gaye dinon ko bula raha hoon Jo qafila mera ham-safar tha misal-e-gard-e-safar gaya wo
-
Mira tu khun ho gaya hai paani sitamgaron ki palak na bheegi Jo naala uttha tha raat dil se na jaane kyun be-asar gaya wo
-
Wo mai-kade ko jagane waala wo raat ki neend urane waala Ye aaj kya us ke ji mein aai ki shaam hote hi ghar gaya wo
-
Wo hijr ki raat ka sitara wo ham-nafas ham-sukhan hamara Sada rahe us ka naam pyara suna hai kal raat mar gaya wo
-
Wo jis ke shane pe haath rakh kar safar kiya tu ne manzilon ka Tiri gali se na jaane kyun aaj sar jhukaye guzar gaya wo
-
Wo raat ka be-nawa musafir wo tera shair wo tera 'nasir' Tiri gali tak to ham ne dekha tha phir na jaane kidhar gaya wo



