The ghazal
Read it in Urdu script-
Koi ummeed bar nahin aati Koi soorat nazar nahin aati
-
Maut ka ek din muayyan hai Neend kyun raat bhar nahin aati
-
Aage aati thi hal-e-dil pe hansi Ab kisi baat par nahin aati
-
Janta hoon sawab-e-taat-o-zohd Par tabiat idhar nahin aati
-
Hai kuchh aisi hi baat jo chup hoon Warna kya baat kar nahin aati
-
Kyun na cheekhun ki yaad karte hain Meri aawaz gar nahin aati
-
Dagh-e-dil gar nazar nahin aata Bu bhi ai chara-gar nahin aati
-
Ham wahan hain jahan se ham ko bhi Kuchh hamari khabar nahin aati
-
Marte hain aarzu mein marne ki Maut aati hai par nahin aati
-
Ka'ba kis munh se jaoge 'ghalib' Sharm tum ko magar nahin aati



