Skip to content
SadPoetry
EN
Tohmat-e-chand apne zimme dhar chale — Khwaja Mir Dard Dhoondhte hain aap se us ko pare - Khwaja Mir Dard

Tohmat-e-chand apne zimme dhar chale

Khwaja Mir Dard Ghazal 13 couplets
  1. Tohmat-e-chand apne zimme dhar chale Jis liye aaye the so ham kar chale

  2. Zindagi hai ya koi toofan hai Ham to is jeene ke hathon mar chale

  3. Kya hamen kaam in gulon se ai saba Ek dam aaye idhar oodhar chale

  4. Dosto dekha tamasha yaan ka sab Tum raho khush ham to apne ghar chale

  5. Aah bas mat ji jala tab janiye Jab koi afsun tira us par chale

  6. Ek main dil-resh hoon waisa hi dost Zakhm kitnon ke suna hai bhar chale

  7. Sham' ke manind ham is bazm mein Chashm-tar aaye the daman-e-tar chale

  8. Dhoondhte hain aap se us ko pare Shaikh sahab chhor ghar bahar chale

  9. Ham na jaane paaye bahar aap se Wo hi aare aa gaya jeedhar chale

  10. Ham jahan mein aaye the tanha wale Saath apne ab use le kar chale

  11. Jun sharar ai hasti-e-be-bood yaan Baare ham bhi apni baari bhar chale

  12. Saqiya yaan lag raha hai chal-chalaw Jab talak bas chal sake saghar chale

  13. 'dard' kuchh ma'loom hai ye log sab Kis taraf se aaye the keedhar chale

Report a mistake

More by Khwaja Mir Dard

All poems