The ghazal
Read it in Urdu script-
Dil dharakne ka sabab yaad aaya Wo tiri yaad thi ab yaad aaya
-
Aaj mushkil tha sambhalna ai dost Tu museebat mein ajab yaad aaya
-
Din guzara tha bari mushkil se Phir tira waada-e-shab yaad aaya
-
Tera bhoola hua paiman-e-wafa Mar rahenge agar ab yaad aaya
-
Phir kai log nazar se guzre Phir koi shahr-e-tarab yaad aaya
-
Hal-e-dil ham bhi sunate lekin Jab wo rukhsat hua tab yaad aaya
-
Baith kar saya-e-gul mein 'nasir' Ham bahut roye wo jab yaad aaya



