The ghazal
Read it in Urdu script-
Hai justuju ki khoob se hai khoob-tar kahan Ab thahrati hai dekhiye ja kar nazar kahan
-
Hain daur-e-jam-e-awval-e-shab mein khudi se door Hoti hai aaj dekhiye ham ko sahar kahan
-
Ya rab is ikhtilat ka anjam ho ba-khair Tha us ko ham se rabt magar is qadar kahan
-
Ik umr chahiye ki gawara ho neesh-e-ishq Rakkhi hai aaj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahan
-
Bas ho chuka bayan kasal-o-ranj-e-rah ka Khat ka mire jawab hai ai nama-bar kahan
-
Kaun o makan se hai dil-e-wahshi kanara-geer Is khanuman-kharab ne dhoonda hai ghar kahan
-
Ham jis pe mar rahe hain wo hai baat hi kuchh aur Aalam mein tujh se laakh sahi tu magar kahan
-
Hoti nahin qubool dua tark-e-ishq ki Dil chahta na ho to zaban mein asar kahan
-
'hali' nashat-e-naghma-o-mai dhoondhte ho ab Aaye ho waqt-e-subh rahe raat bhar kahan


