The ghazal
Read it in Urdu script-
Sach ko phela kar jhoot ko mitata rahon ga Haq ke liye lar kar baatil ko harata rahon ga
-
Buraiee se bachcho ga khud doosron ko bhi bachaoo ga Naik kaam karoon ga achhai phelata rahon ga
-
Mujh se nafrat karkay tum mera kuch nahi bigaar satke Talkh baatein seh jaoon ga muskorata rahon ga
-
Agar koi meri izzat ko lalkaary ga Sabr ka daman thaam kar Allah ko pukaarta rahon ga
-
Doston se mohabbat karoon ga jab tak dost rahen Munafiqon se jaan apni churwata rahon ga
-
Zalim pay qehar banon ga zulm kay khilaaf laroon ga mein Yeh bhool hai tumhari ke mein zulm sehta rahon ga
-
Haq Allah hai haq ouncha hai aakhir haq ki jeet hai Atif Baatil kufar hai kufar gumraah hai kufar ko aag lagaata rahon ga
Submitted by Muhammad Atif Arain Qadri


