The ghazal
Read it in Urdu script-
Qadam qadam pay lutf hum uthany lag gaye Hayaat haadsay haseen bananay lag gaye
-
Miyan kisi ne di nagar basanay ki sada Nikal ke dasht se so majnu anay lag gaye
-
Tumhen jo manzilain bohat hi aasan hain lagi Woh panay mein hamein to hain zamane lag gaye
-
Jee dasht mein hamara jis samay laga nahi To nat naye deyaar hum basanay lag gaye
-
Siyahi har so phail jab gayi deyaar mein Siraat jugno kuch hamein dikhaane lag gaye
-
Hamaray dil pay chai theen khizain jis samay Haseen nazare bhi hamein thakanay lag gaye
Submitted by Tahir Mukhtar Tahir


