The ghazal
Read it in Urdu script-
Dekha Hai Zindagi Ko Kuch Itne Qareeb Se Chehte Tamam Lagne Lagey Hain Ajeeb Se
-
Ae Roz Asar Jaag Kahan So Rahi Hai Tu Awaz De Rahe Hain Peambar Saleeb Se
-
Is Reengti Hayat Ka Kab Tha Uthayen Baar Beemar Ab Uljane Lage Hain Tabeeb Se
-
Har Gaam Par Hai Majma-E Ishaaq Muntazir Maqtil Ki Rah Milti Hai Koy-E Habib Se
-
Is Tarah Zindagi Ne Diya Hamra Sath Jese Koi Nibah Raha Ho Raqeeb Se



