The ghazal
Read it in Urdu script-
Kabhi Tu Palten Gey Din Kabi Tu Hamari Baat Ho Gi Abhi Tu Hain Gumnam, Kabhi Tu Roshan Hamari Zaat Ho Gi
-
Nahi Aata Saamne Khul Kar Koi Qatal Yahan Ghor Kar Agar Tu Har Qadam Pe Ghaat Ho Gi
-
Tarekian Hain, Ranjishain Hain, Jafain Hain Ho Gey Lakhon Masael, Aesi Na Bazm Kainat Ho Gi
-
Shakal Bhi Ho, Wafa Bhi Ho Aur Kardaar Bhi Ho Milay Aik Shaks Mein, Mushkal Hai Ke Wo Zaat Ho Gi
-
Ho Ga Tea Bhi Har Kisi Ke Lab Pe Naam Aamir Mamla Ye Ho Ga Us Din Qabar Ki Jab Pehli Raat Ho Gi
Submitted by Aamir Imtiaz Aamir


