The poem
-
Ya Rab, Matah e Hayat Se, Bari e Umang Kar De Siyaa Salsaal Hoon, Hathoon Se Apne Rang Kar De
-
Jis Tarah Chand O Suraj Chalte Hain, Waqt e Maqarrar Per Siraat e Mustaqeem Ka Mujhko Paband Kar De
-
Jahan Jabee(n) Jhuka Doon Wahan Kabah Kar De Mere Sajdoon Ko Itna To Mohtaber Kar De
-
Bhatak Raha Hoon Dar Ba Dar Teri Talash Mein Mawla Meri Is Khoj e Kamil Ko Muqammal Kar De
-
Manind E Zandan Hai, Duniya Momin Ke Liye Tu Mere Safar e Hayat Ko Mukhtassar Kar De
-
Na Ho Khof e Jahannum, Na Lalach Jannat Ki Meri Ibadat Sirf Tere Liye Muqarrar Kar De
-
Yeh Munasib Nahi Naist Ho Jao Ek Sanam Ke Liye La Zawaal Ho Jaye, Nafs Jo Fanaa Karde
-
Ker Khairaat, Roz e Hashar Zer e Saaya Hoga Kisi Miskeen Ko Do Roti Ata Kar De
-
Apna Darjah, Sufioo(n) Se Buland Kar Dars e Qura(n) Ko Aml e Roz Marrah Kar De
-
Na Ho Ga Jahan Mein Koi Hasid Tera Apni Khushiyaan Zamane Pe Nichawar Karde
-
Tera Saaya Bhi Jag Magaye Ga Saahil Lo e Furqan Se Khud Ko Munawar Kar De
Submitted by Shehzad Sadaruddin Saٰahil


