1947 - 1996
Safar Tanha Nahi Karte Suno Aisa Nahi KarteJisay Shafaaf Rakhna Ho Usay Mela Nahi KarteTri Ankhen Ijazat Den To Hum Kya Kya Nahi KarteBohat Ujrey Hue Ghar Par Bohat Socha Nahi KarteSafar Jis Ka Muqaddar Ho Usay Roka Nahi Karte
Siah Raat Mai Jalte Hain Jugnu Ki Tarah Dilon Ke Zakhm Bi Mohsin Kmal Hote Hain
Fan Mein Ye Mojiza Bhi Paida Kar Pattharon Se Bashar Tarasha KarKab Se Apni Talash Mein Gum Hoon Ae Khuda Mujh Ko Mujh Pe Afsha Kar
Hmain Tu Kab Se Pta Hai K Tu Bewafa Hai Mohsin Tuje Chaha Is Liye Shayad Teri Fitrat Badal Jaye
Kehta Tha Ke Tu Na Mila Tu Mar Jaon Ga Mohsin Wo Aaj Bi Zinda Hai Yehi Baat Kisi Aur Ko Kehne Ke Liye
Teri Baton Main Zikr Us Ka Meri Baton Main Zikr Tera Ajab Ishq Hai Mohsin Na Tu Mera Na Wo Tera
Jab Se Us Ne Shehr Ko Chora Har Rasta Sunsan Hua Apna Kia Hai, Sare Shehr Ka Ik Jese Nuqsan HoaSehra Ki Munh Zor Hwain, Auron Se Mansob Huen Muft Main Ham Awara Thehray Muft Main Ghar Sunsan Hua
Jab Chale To Tanha Thay Safr Main Mohsin Phir Tum Milay Gham Milay Tanhai Mili Qafla Sa Ban Gaya
Ujray Hoye Logon Se Graizan Na Hoa Kar Halat Ki Qabron Ke Ye Katbe Bi Parha Kar Har Waqt Ka Hansna Tuje Barbad Na Kar De Tanhai Ke Lamhon Main Kabi Ro Bi Lia Kar
Inkaar Ki Si Lazat, Iqrar Main Kahan Hai..? Barhta Hai Ishq Mohsin Un Ki Nahin Nahin Se
Mila Tu Aur Bi Taqseem Kar Gaya Muj Ko Sameetna Thi Jisay Meri Kerchian Mohsin
Ulja Rahi Hai Muj Ko Yahi Kashmakash Musalsal Mohsin Wo A Basa Hai Muj Main Ya Main Us Main Kho Gaya Hoon
Ab Ye Socha Hai Apni Zaat Main Rahein Gay Mohsin Buhat Dekh Lia Logon Se Shanasai Kar Ke
Ae zindagi tu hi bta kese tuj se payar karon main Teri har saans meri umar ghata deti hai
Tere qareeb bi reh kar tuje talash karon Muhabtoon main meri bad hawasian na gayen
Ajeeb tarah se dono nakam hoye mohsin Wo mujay chah na saka or main usay bhula na saka
Showing 56 of 56