1947 - 1996
Is Shab Ke Muqadar Mein Sehar Hi Nahi Mohsin Dekha Hai Kayi Baar Chiraghon Ko Bhuja Kar
Kahan Mile Gi Misal Meri Satam Giri Ki Keh Mein Gulabon Ke Zakhm Kanton Say See Raha Hun
Main Tere Milne Ko Mojza Keh Raha Tha Lekin Tere Bicharne Ka Saniha Bi Kamal Guzra
Ab K Barish Mein Tu Ye Kar-e Zyan Hona Hi Tha Apni Kachi Bastion Ko Be-Nishan Hona Hi Tha
Zikar Shab-E Firaq Se Wahshat Usay Bhi Thi Meri Tarah Kisi Se Mohabat Usay Bhi Thi
Umar Saari Tu Bohat Door Ki Baat Hai Mohsin Ik Lamhe Ke Liye Kash Wo Mera Hota
Ik Baar Aur Dekh Kar Azad Kar De Muje Mohsin K Main Aaj Bi Teri Pehli Nazar Ki Qaid Main Hon
Ab Tak Meri Yaadon Se Mitaye Nahi Mit'ta Bhegi Hoyi Ik Sham Ka Manzar Teri Aankhen
Mera Tu Ranjishain Sari Mitane Ka Irada Tha Gale Us Shakhs Ko Phir Se Lgane Ka Irada ThaChlo Acha Hoa Us Ne Muje Sahal Se Hi Lota Dya Warna Mera Tu Sari Kashtyan Jilane Ka Irada Tha
Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Kun Bhuj Gya Awargi Is Dasht Mein Ik Shehr Tha Wo Kya Hoya AwargiKal Shab Muje Be Shakal Ki Awaz Ne Chonka Dya Mein Na Kaha Tu Kon Hai Us Ne Kaha Awargi
Ham Tu Hanste Hain Dosron Ko Hansane Ki Khatar Mohsin Warna Dil Pe Zakhm Itne Hain Ke Roya Bi Nahi Jata
Tumhen Jab Ru-baro Dekha Karen Gey Ye Socha Hai Bohat Socha Karen Gey
Usay Pana Usay Khona Usi Ke Hijr Mein Rona Yehi Gar Ishq Hai Mohsin To Ham Tanha Hi Ache Thay
Wo Aksar Din Mein Bachon Ko Sula Deti Hai Is Dar Se Gali Mein Phir Khilone Bechne Wala Na Aa Jaye
Us Ne Ye Soch Kar Hame Alwida Keh Diya Mohsin Ye Ghreeb Log Hain Muhabat Ke Siwa Kya Dey Gey
Ham Apni Dharti Se Apni Har Simat Khud Talashen Hamari Khatir Koi Sitara Nahi Chale Ga
Aj ki raat bi mumkin hai na soo sakon mohsin Yad phir ayi hai neendon ko urane wali
Azal Se Qayam Hain Dono Apni Zidon Pe Mohsin Chale Ga Pani Magar Kinara Nahi Chale Ga
Chal Para Hun Mein Zamane Ke Asolon Pe Mohsin Mein Ab Apni Hi Baton Se Mukar Jata Hun
Ik Diya Dil Mein Jlana Bhi, Bhuja Bhi Dena Yaad Karna Bhi Usay Roz, Bhula Bi DenaKia Kahon Ye Meri Chahat Hai Ke Nafrat Us Ki Naam Likhna Bhi Mera, Likh Ke Mita Bhi DenaPhir Na Milne Ko Bicharta Tu Hon Tuj Se Lekin Mur Ke Dekhon Tu Paltne Ki Dua Bhi DenaKhat Bhi Likhna Use, Mayus Bhi Rehna Us Se Jurm Karn Abhi Mgar Khud Ko Saza Bhi Dena
Showing 40 of 56