1931 - 2002
Kitne Aesh Se Rehte Hun Gey Kitne Itraate Hun Gey Jaane Kese Log Wo Hun Gey Jo Us Ko Bhaate Hun Gey
Shayad Muje Kisi Se Mohabat Nahi Hui Lekin Yaqeen Sab Ko Dilata Raha Hun Mein
Ganwai Kis Ki Taman’na Mein Zindagi Mein Ne Wo Koon Hai Jisey Dekha Nahi Kabhi Mein Ne
Zindagi Kya Hai Ik Kahani Hai Ye Kahani Nahi Sunani Hai
Kal Par Hi Rakho Wafa Ki Batain Main Aaj Bohat Bhuja Hoa Hon
Kaam Ki Baat Mein Ne Ki Hi Nahi Ye Mera Tore Zindagi Hi Nahi
Jo Guzari Na Ja Sake Ham Se Ham Ne Wo Zindagi Guzari Hai
Zindagi Kis Tarah Basar Ho Gi Dil Nahi Lag Raha Mohabat Mein
Sab Mere Baghair Mutmayin Hain Mein Sab Ke Baghair Ji Raha Hun
Meri Bahon Mai Behakne Ki Saza Bi Sun Le Ab Bohat Dair Mai Azad Karon Ga Tuj Ko
Ye Kafi Hai Keh Ham Dushman Nahi Hain Wafadari Ka Dawa Kyun Krein Ham
Pass Rah Kar Judai Ki Tuj Se Dor Ho Kar Tuje Talash KiaMein Ne Tera Nishan Gum Kar Ke Apne Andar Tuje Talash Kia
Ye Tere Khat Teri Khushbu Ye Tere Khawab o Khayal Mtay-e Jaan Hai Tere Qol-o Qasam Ki Tarah Guzishta Sal Inhain Mai Ne Gin Ke Rakha Tha Kisi Ghareb Ki Jori Hoi Raqam Ki Tarah
Naya Ik Rishta Paida Kyun Krein Ham Bicharna Hai Tu Jagra Kyun Krein Ham
Ghair Ke Dil Mai Gar Utarna Tha Mere Dil Se Utar Gaye Hote
Zindagi Aik Fun Hai Lamhon Ko Apne Andaz Se Ginwane Ka
Muj Ko Khwahish Hi Dhondne Kin A Thi Muj Mein Khoya Raha Khuda Mera
Tum Jab Aao Gi Khoya Hua Pao Gi Muje Meri Tanhai Mein Khwabon Ke Siwa Kuch Bi NahiMere Kamre Ko Sajane Ki Tmana Hai Tumhen Mere Kamre Mein Kitabon Ke Siwa Kuch Bi Nahi
Har Bar Tuj Se Milte Waqt Tuj Se Milne Ki Aarzo Ki HaiTere Jaane Ke Baad Bi Mein Ne Teri Khushbu Se Guftagu Ki Hai
Dhund Chai Hui Hai Jheelon Par Ur Rahe Hain Parinde Teelon Par Sab Ka Rukh Hai Nishamon Ki Taraf Bastion Ki Taraf, Banon Ki Taraf
Showing 40 of 41