Skip to content
SadPoetry
EN
Baat Meri Kabi Suni Hi Nahi — Daagh Dehlvi

Baat Meri Kabi Suni Hi Nahi

Daagh Dehlvi 9 couplets
  1. Baat Meri Kabi Suni Hi Nahi Jante Wo Buri Bhali Hi Nahi

  2. Dil Lagi Un Ki Dil Lagi Hi Nahi Ranj Bi Be Faqt Hansi Hi Nahi

  3. Lutf Maay Tuj Se Kia Kahon Zahid Haye Kambakhat Tu Ne Pi Hi Nahi

  4. Ur Gayi Yun Wafa Zamane Se Kabi Goya Kisi Mai Thi Hi Nahi

  5. Jaan Kya Don Ke Janta Hun Main Tum Ne Ye Cheez Le Ke Di Hi Nahi

  6. Ham Tu Dushman Ko Dost Kar Lete Hain Par Karin Kya Teri Khushi Hi Nahi

  7. Ham Teri Aarzo Pe Jete Hain Ye Nahi Hai Tu Zindagi Hi Nahi

  8. Dil Lagi Dil Lagi Nahi Nasih Tere Dil Ko Abi Lagi Hi Nahi

  9. Daagh Kun Tum Ko Bewafa Kehta Wo Shkayat Ka Aadmi Hi Nahi

Submitted by Rekhta

Report a mistake

More by Daagh Dehlvi

All poems