The ghazal
Read it in Urdu script-
Saal Ha Saal Guzartay Yaad E Janan Mein Hum Khud Ko Rahay Ujartay Yaad E Janan Mein Hum
-
Mushkil Nah Ho Yaad Karne Mein, Jaun Ki Terhan Uska Chehra Rahay Abharte Yaad E Janan Mein Hum
-
Is Shehr-e Biyabaan Mein, Dekh Kar Mout Apni Bhage Janan Janan Pukaartay Yaad E Janan Mein Hum
-
Roye Morak Ke Samnay, Sisak Sisak Kar Badshah Apni Shahi Ka Libada Utaartay Yaad E Janan Mein Hum
-
Baithy Woh Maghrour Samnay, Liye Anaa Hum Sath Mein Dekhte Unhen, Kisi Ka Buut Nikharty Yaad E Janan Mein Hum
Submitted by Numan Ijaz


