The poem
Read it in Urdu script-
Arz o sama ke maalik Ufwo o ataa ke maalik
-
Tareef karoon kaisay Hamd o sana ke maalik
-
Andaaz nirale sab Behar o khalaa ke maalik
-
Mohtaaj yeh bande hum Jod o sakha ke maalik
-
Day bakhash gunaaho ko Adal o saza ke maalik
-
Ye sust rawi niklay Karm o jala ke maalik
-
Hai aks jhalakta bhi Sabr o raza ke maalik
-
Rangeen haseen manzar Shams o zia ke maalik
-
Ho subah yeh shamen jo Sehar o saba ke maalik
-
Maqsad hai ibadat hi Fikar o haya ke maalik
-
Chakhna hai maza ik din Moat o fanaa ke maalik
-
Tofeeq sada mil jaye Qadar o qaza ke maalik
-
Thandi bhi sun-hwa chalti Neher o safa ke maalik
-
Aabad hamein rakiyo Raham o shifa ke maalik
-
Ik aas rahay nasir Kher o jaza ke malak
Submitted by Nasir Ibrahim Dhamaskar


