The ghazal
Read it in Urdu script-
Baska Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasan Hona Aadmi Ko Bhi Mayassar Nahi Ansan Hona
-
Giryaa Chahay Hai Kharabi Maray Kashany Ki Dur O Deewar Se Tpke Hai Byaban Hona
-
Why Deewangi Shoq Ke Har Dam Mujh Ko Aap Jana Idhar Aur Aap Hi Heraan Hona
-
Jalva Az Bas Ke Taqza-ye Nagah Karta Hai Johar Aaynh Bhi Chahay Hai Mazgaan Hona
-
Ishrat Qatal Gah Ahal Tamanna Mat Pooch Eid Nzarah Hai Shamsheer Ka Uryaan Hona
-
Le Gaye Khaak Mein Hum Daagh Tamnnaye Nishat To Ho Aur Aap Bah Sad Rang Gulisitan Hona
-
Ishrat Parah Dil Zakham Tamanna Khana Lazzat Resh Jigar Ghark Namak-daan Hona
-
Ki Maray Qatal Ke Baad Is Ny Jfaa Se Tauba Haae Is Zood Pasheman Ka Pasheman Hona
-
Haif Is Chaar Girah Kapray Ki Qismat Ghalib Jis Ki Qismat Mein Ho Aashiq Ka Gireybn Hona



