Ghar Jab Bana Liya Tere Dar Par Kahay Beghair
Jane Ga Ab Bhi Tu Na Mera Ghar Kahay Beghair
Kehte Hain Jab Rahi Na Mujhe Taqt-E Sukhan
Janoo Kisi Ke Dil Mein Kun-Kar Kahay Beghair
Kaam Us Se Aa Para Hai Ke Jis Ja Jahan Mein
Leway Ka Na Koi Naam Sitam Ghar Kahay Beghair
Jee Mein Kuch Nahi Hai Hamare Wagarna Ham
Sar Jaye Ya Rahe Na Rahein Par Kahay Beghair
Chooron Ga Mein Na Is But Kafar Ka Pojna
Choray Na Khalaq Go Mujhe Kafir Kahay Beghair
Maqsad Hai Naz-O Ghamza-O Ley Guftagu Mein Kaam
Chalta Nahi Hai Dashna-O Khajar Kahay Beghair
Har Chand Ho Mashahda-E Haq Ki Guftagu
Banti Nahi Hai Bada-O Saghir Kahay Beghair
Behra Hun Mein Tu Chahye Do Na Ho Iltafat
Sunta Nahi Hun Baat Mukarar Kahay Beghair
Ghalib Na Kr Huzoor Mein Tu Bar Bar Arz
Zahar Hai Tera Haal Sab Un Par Kahay Beghair