The ghazal
Read it in Urdu script-
Dil-e-nadan tujhe hua kya hai Aakhir is dard ki dawa kya hai
-
Ham hain mushtaq aur wo be-zar Ya ilahi ye majra kya hai
-
Main bhi munh mein zaban rakhta hoon Kaash poochho ki muddaaa kya hai
-
Jab ki tujh bin nahin koi maujood Phir ye hangama ai khuda kya hai
-
Ye pari-chehra log kaise hain Ghamza o ishva o ada kya hai
-
Shikan-e-zulf-e-ambareen kyun hai Nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai
-
Sabza o gul kahan se aaye hain Abr kya cheez hai hawa kya hai
-
Ham ko un se wafa ki hai ummeed Jo nahin jante wafa kya hai
-
Haan bhala kar tira bhala hoga Aur darvesh ki sada kya hai
-
Jaan tum par nisar karta hoon Main nahin janta dua kya hai
-
Main ne maana ki kuchh nahin 'ghalib' Muft haath aaye to bura kya hai



