1925 - 1972
Bhari Dunya Mein Ji Nahi Lagta Jane Kis Cheez Ki Kami Hai Abi
Ye Subah Ki Safeedian Ye Dupehar Ki Zardian Ab Aayne Mein Dekhta Hun Mein Kahan Chala Gaya
Yaad Hai Ab Tak Tuj Se Bicharne Ki Wo Andheri Sham Muje Tu Khamosh Khara Tha Lekin Batain Karta Tha Kajul
Na Mila Kar Udas Logo Se Husn Tera Bikhar Na Jaye Kahen
Niyat Shoq Bhar Na Jaye Kahin Tu Bhi Dil Se Utar Na Jaye KahinAaj Dekha Hai Tuj Ko Dair Ke Baad Aaj Ka Din Guzar Na Jaye Kahin
Dayam Aabad Rahe Gi Dunya Ham Na Hon Ge Koi Ham Sa Ho Ga
Bulaon Ga Na Milun Ga Na Khat Likhon Ga Tuje Teri Khushi Ke Liye Khud Ko Ye Saza Dun Ga
Na Pocho Kis Kharabe Main Paray Hain Tahe Abr-e Rawan Payase Khare Hain Zara Ghar Se Nikal Kar Dekh Nasir Chama Main Kis Qadar Patte Jhare Hain
Ye Aaj Kon Se Tufan Main Hai Safeena-e Dil Ke Door Door Kinare Nazar Nahi Aate Hujoon Yas Hai Or Manzlon Andhera Hai Wo Raat Hai Ke Sitare Nazar Nahi Aate
Ishq Jab Zamzma Paira Ho Ga Phir Sulgane Lage Ga Sahrae KhayalHusn Khud Mahwe Tmasha Ho Ga Abr Ghir Kar Khain Barsa Ho Ga
Gaye Dino Ka Suragh Le Kar Kidhr Se Aya Kidhr Gya wo Ajeeb Manoos AJnabi Tha Muje Tu Hairan Kar Gya wo
Nasir Kia Kehta Phirta Hai Kuch Na Suno Tu Behtr Hai Dewana Hai Dewane Ke Mun Na Lgo Tu Behtar Hai Kapre Badal Kar, Bal Bna Kar, Kahan Chale Ho Kis K Liye Raat Bahut Kali Hai Nasir Ghar Hi Raho Tu Behtar Hai
Showing 32 of 32