The poem
Read it in Urdu script-
Zindagi Sang-E Dar-E Yaar Se Aage Na Barhi Aashqui Matla-E Dedaar Se Aage Na Barhi
-
Tergi Kesoye Khamdar Se Aage Na Barhi Roshni Tabish-E Rukhsaar Se Aage Na Barhi
-
Dilbari Ronaq-E Bazaar Se Aage Na Barhi Sadgi Hasrat-E Azhar Se Aage Na Barhi
-
Khud Faramosh Tere Arsh Ko Chu Kar Aaye Khwajgi Jubba O Dastar Se Aage Na Barhi
-
Bas Mein Hota Tu Teri Bazm Sajate Ham Bhi Be Basi Saya Dewaar Se Aage Na Barhi
-
Jalwa-E Zaat Se Aage Thi Faqat Zaat Hi Zaat Bandagi Raqs-E Sardar Se Aage Na Barhi
-
Be Khudi Dasht-O Bayaban Se Wara Hai Wasif Aagahi Wadi-E Purkhar Se Aage Na Barhi


