The ghazal
Read it in Urdu script-
Apni dhun mein rahta hoon Main bhi tere jaisa hoon
-
O pichhli rut ke sathi Ab ke baras main tanha hoon
-
Teri gali mein saara din Dukh ke kankar chunta hoon
-
Mujh se aankh milaye kaun Main tera aayeena hoon
-
Mera diya jalaye kaun Main tira khali kamra hoon
-
Tere siwa mujhe pahne kaun Main tire tan ka kapra hoon
-
Tu jeewan ki bhari gali Main jangal ka rasta hoon
-
Aati rut mujhe royegi Jaati rut ka jhonka hoon
-
Apni lehar hai apna rog Dariya hoon aur pyasa hoon



