Zehar de do isi bahany se

Jankani main mareez hasti hai
Mangta hai dawa zamany se
Chara sazon sunehri moqa
Zehar de do isi bahany se
Jankani main mareez hasti hai
Mangta hai dawa zamany se
Chara sazon sunehri moqa
Zehar de do isi bahany se
Ab tak to dil ka dil se taruf na ho saka
Mana ke us se milna milana bohat hoa
Kia kia na ham kharab hoye hain magar ye dil
Aey yaad-e yaar tera thekana bohat hoa
Kabi na kabi pora yeh khawab hota
Tum sath hoty na koi hijab hota
Jab apna wisaal hota koi na khalal parta
Na rasm-e hina hoti na koi niqab hota
Doobtay Doobtay Kashti Ko Uchala De Doon
Main Nahi Koi Tu Sahal Peh Utar Jaye Ga
Zabt Lazim Hai Magr Dukh Hai Qayamat Ka Faraz
Zalim Ab Ke Bi Na Roye Ga Tu Mar Jaye Ga
Maan Ki Aik Dua Zindagi Dey Gi
Khud Roye Gi Tumhain Hansa Dey Gi
Kabhi Bhol Kar Bhi Maan Ko Na Rulana
Ik Choti Si Ghalti Pora Arsh Hila Dey Gi
Mataa Looh O Qalam Chinh Gayi To Kya Gham Hai
Ke Khoon Dil Mein Dabo Li Hain Unglian Main Ne
Zuban Pay Mohar Lagi Hai To Kya Ke Rakh Di Hai
Har Aik Halqa Zanjeer Mein Zuba Mein Ne
Tujhay Kis Ny Kaha Anjan Ban Kar Aya Kar
Mere Dil Ke Ainay Mein Mehman Ban Kar Aya Kar
Pagal Aik Tujhko Hi To Bakhshi Hai Dil Ki Hakoomat
Ye Teri Saltanat Hai Sultan Ban Kar Aya Kar
Chand Bacho Ko Pala Tha Mamta Ne Jatan Se
Mamta Ka Sila Phir Bhi Na Zaeefi Main Payi
Har Cheez To Taqseem Hoyi Baap Ke Martay
Ik Maan Thi Jo Hisay Main Kisi Ke Na Aayi