The ghazal
Read it in Urdu script-
Teri Baatain Hi Sunane Aye Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aye
-
Phol Khilte Hain Tu Ham Sochte Hain Tere Aane Ke Zamane Aye
-
Aesi Kuch Chup Si Lagi Hai Jese Ham Tuje Haal Sunane Aye
-
Ishq Tanha Hai Sar-e Manzil Gham Kon Ye Bojh Uthane Aye
-
Ajnabi Dost Hamain Dekh Keh Ham Kuch Tuje Yaad Dilane Aye
-
Dil Darhakta Hai Safar Ke Hangam Kash Phir Koi Bulane Aye
-
Ab Tu Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai Shayad Ab Hosh Thikane Aye
-
Kya Kahin Phir Koi Basti Ujri Log Kyun Jashan Manane Aye
-
So Raho Moat Ke Pehlo Me Faraz Neend Kis Waqt Na Jane Aye



