The poem
Read it in Urdu script-
Jazba-e Ishq Phir Machalta Hai Dhalte Dhalte Ye Chand Dhalta Hai
-
Pochti Phir Rahi Hai Aos Abi Phol Kab Pairhan Badalta Hai
-
Mein Tu Chalta Hun Teri Yaad Ke Sath Raasta Mere Sath Chalta Hai
-
Tere Aangan Mein Shab Utarti Hai Teri Kharki Se Din Nikalta Hai
-
Khusboin Khusbon Se Milti Hain Kis Liye Phol Hath Malta Hai
-
Lakh Nazak Sahare Hon Lekin Girne Wala Kahan Sambhlta Hai
-
Aarzon Ki Fasal Dil Mein Hai Chashma Aankhon Se Kun Ubalta Hai
-
Ham Julas Tu Rahe Hain Ae Jana Tere Suraj Bi Tu Pigalta Hai
-
Raye Ham Ko Badalni Parti Hai Waqt Kab Faisla Badal Hai
Poet Lateef Sahil
Submitted by Rekhta


