Skip to content
SadPoetry
EN
Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-e-maqaam Se Guzar — Allama Iqbal

Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-e-maqaam Se Guzar

Allama Iqbal Ghazal 5 couplets
  1. Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-e-maqaam Se Guzar Misr O Hijaz Se Guzar Paaras O Shaam Se Guzar

  2. Jis Kaa Amal Hai Be-garaz Us Ki Jazaa Kuch Aur Hai Huur O Khiyaam Se Guzar Baada-o-jaam Se Guzar

  3. Garche Hai Dil-kushaa Bahut Husn-e-farang Ki Bahaar Taa’eak-e-buland-baal Daana-o-daam Se Guzar

  4. Koh-shigaaf Teri Zarb Tujh Se Kushaad-e-sharq-o-garb Tegh-e-hilal Ki Tarah Aish-e-niyaam Se Guzar

  5. Tera Imam Be-huzur Teri Namaaz Be-surur Aisi Namaz Se Guzar Aise Imaam Se Guzar

Report a mistake

More by Allama Iqbal

All poems