The nazm
Read it in Urdu script-
Saare jahan se achchha hindostan hamara Ham bulbulen hain is ki ye gulsitan hamara
-
Ghurbat mein hon agar ham rahta hai dil watan mein Samjho waheen hamen bhi dil ho jahan hamara
-
Parbat wo sab se ooncha ham-saya aasman ka Wo santari hamara wo pasban hamara
-
Godi mein khelti hain is ki hazaron nadiyan Gulshan hai jin ke dam se rashk-e-jinan hamara
-
Ai aab-rood-e-ganga wo din hai yaad tujh ko Utra tire kinare jab karvan hamara
-
Mazhab nahin sikhata aapas mein bair rakhna Hindi hain ham watan hai hindostan hamara
-
Yoonan o misr o rooma sab mit gaye jahan se Ab tak magar hai baaqi nam-o-nishan hamara
-
Kuchh baat hai ki hasti mitti nahin hamari Sadiyon raha hai dushman daur-e-zaman hamara
-
'iqbal' koi mahram apna nahin jahan mein Maloom kya kisi ko dard-e-nihan hamara



