The ghazal
Read it in Urdu script-
Khirad-mandon se kya poochhun ki meri ibtida kya hai Ki main is fikr mein rahta hoon meri intiha kya hai
-
Khudi ko kar buland itna ki har taqdeer se pahle Khuda bande se khud poochhe bata teri raza kya hai
-
Maqam-e-guftugu kya hai agar main keemiya-gar hoon Yahi soz-e-nafas hai aur meri keemiya kya hai
-
Nazar aaeen mujhe taqdeer ki gahraiyan is mein Na poochh ai ham-nasheen mujh se wo chashm-e-surma-sa kya hai
-
Agar hota wo majzoob-e-farangi is zamane mein To 'iqbal' us ko samjhata maqam-e-kibriya kya hai
-
Nawa-e-subh-gahi ne jigar khun kar diya mera Khudaya jis khata ki ye saza hai wo khata kya hai



