The poem
Read it in Urdu script-
Barish Ki Taiz Boondon Ne Jab Dastak Di Darwaze Par Mehsoos Huwa Tum Aaye Ho, Andaz Tumhare Jaisa Tha
-
Hawa Ke Halke Jhonke Ki Jab Aahat Huwi Khirki Par Mehsoos Huwa Tum Aaye Ho, Andaz Tumhare Jaisa Tha
-
Main Tanha Chala Jab Barish Mein, Ek Jhonke Ne Mera Saath Diya Main Samjha Tum Ho Saath Mere, Ehsaas Tumhare Jaisa Tha
-
Phir Ruk Gayi Woh Barish Bhi, Rahi Na Baqi Aahat Bhi Main Samjha Mujhe Tum Chhor Gaye, Andaz Tumhare Jaisa Tha
Submitted by Irfan niz


