Har Moman Ka Rakhwala Hamara Watan
Umat Ka Hai Sahara Payara Watan
Na Tha Umat Ka Hamdard Koi
Dey Ke Quwat Rab Ney Ubhara Watan
Darya Diye, Behr-o Bar Diye, Diye Haseen Gulshan
Khuda Ne Naimton Se Hai Sanwara Watan
Un Ke Aangan Main Bhi Sada Bahar Rahey
Jaan De Key Jinhon Nay Nikhara Watan
Ho Ga Islam Ka Ghalba Jaham Main Aamir
Waseela Ban Ke Aye Aga Tumhara Watan