The poem
Read it in Urdu script-
Khawabon Ka Gulistan Hai Tu, Armanon Ka Chaman Jannat Se Kam Nahin Hai Tu Mere Liye Watan
-
Parbat Himalaya Azm ka Parcham kahein Jise Gang-O-Jaman Hain Pyaar Ka Sangam Kahein Jise
-
Jharnon Se Phoote Hai Naee Ummeed Ki Kiran Jannat Se Kam Nahin Hai Tu Mere Liye Watan
-
Gautam Raheem Naanak Aur Chishti-O-Kabeer Paighaam Laaye Pyaar Muhabbat Ka Sab Faqeer
-
Insaaniat Se Mahka hai Yoon Hind Ka Chaman Jannat Se Kam Nahin Hai Tu Mere Liye Watan
-
Baرhne Naa Paaye Hindu-Musalman Mein Faasle Sab Aik Hain Jawaan Hain Abhi Apne Hasle
-
Hum Aik Hain Hum Aik Hain Goonje Wahi Sada Apne Watan Pe Kar Denge Hum Jaan-O-Tan Fida
-
Apne Saron Se Baandhke Nikle Hain Hum Kafan Jannat Se Kam Nahin Hai Tu Mere Liye Watan
-
Rekhta Pataulvi
Submitted by Shahzad


