The poem
Read it in Urdu script-
Hum woh buzdil nahi yalghar se dar jayenge Tum ne samjha ke hum talawaar se dar jayenge
-
Sainkro hamlawaro ko chutkiyon men phenk den Tum ne kya samjha ke ek waar se dar jayenge
-
Humne khud apne lahu se hi to seencha hai watan Tum ne samjha ke hum hathiyar se dar jayenge
-
Tamam zakhm ke badle hisab lenge tera Tum ne samjha ke hum dhutkar se dar jayenge
-
Hum jab zaban chalayen to talwaren chup rahen Tum ne samjha ke hum phatkar se dar jayenge
-
Patthar chalane walon zara band karo ye khel Tum ne samjha ke hum do char se dar jayenge
Submitted by munib muzaffarpuri


