The ghazal
Read it in Urdu script-
Saza Ka Haal Sunaein Jaza Ki Baat Krein Khuda Mila Ho Jinhain Wo Khuda Ki Baat Krein
-
Unhain Pata Bhi Chlay Aur Wo Khafa Bhi Na Hun Is Ihtiat Se Kia Mudda Ki Baat Krein
-
Hmaray Ehad Ki Tahzeeb Mein Qaba Hi Nahi Agar Qaba Ho Tu Band Qaba Ki Baat Krein
-
Har Ik Dur Ka Mazah Naya Khud Laya Krein Tu Ham Bhi Mgar Kis Khuda Ki Baat Krein
-
Wafa Sha'ar Kayi Hain Koi Haseen Bhi Tu Ho Chalo Phir Aaj Usi Bewafa Ki Baat Krein



