The ghazal
Read it in Urdu script-
Nukta-cheen hai gham-e-dil us ko sunaye na bane Kya bane baat jahan baat banaye na bane
-
Main bulata to hoon us ko magar ai jazba-e-dil Us pe ban jaaye kuchh aisi ki bin aaye na bane
-
Khel samjha hai kaheen chhor na de bhool na jaaye Kaash yun bhi ho ki bin mere sataye na bane
-
Ghair phirta hai liye yun tire khat ko ki agar Koi poochhe ki ye kya hai to chhupaye na bane
-
Is nazakat ka bura ho wo bhale hain to kya Haath aawen to unhen haath lagaye na bane
-
Kah sake kaun ki ye jalvagari kis ki hai Parda chhora hai wo us ne ki uthaye na bane
-
Maut ki raah na dekhun ki bin aaye na rahe Tum ko chahun ki na aao to bulaye na bane
-
Bojh wo sar se gira hai ki uthaye na uthe Kaam wo aan para hai ki banaye na bane
-
Ishq par zor nahin hai ye wo aatish 'ghalib' Ki lagaye na lage aur bujhaye na bane



