The nazm
Read it in Urdu script-
Alvida ae December! Tum bhi jaate ho to jao
-
Jaise jaate hain sabhi Ik adhoori baat chhor kar
-
Thandi chaye ki pyali mein Kuchh dhuan sa reh gaya hai
-
Khirkiyon par dhund hai Aur dhund par ungli se likha
-
Ik purana naam Jo subah hone tak mit jayega
-
Tum ko jana hai, chale jao Magar agle baras
-
Aao to itna batana Wo bhi kya us shehar mein
-
Ab bhi tumhein yaad karta hai?

