Aankh zabt-e khumar jane jaan

Aankh zabt-e khumar jane jaan
Aik taaza bahhar jane jaan

Bhool jana tumhe mumkin hi nahi
Ae mere no nehar jane jaan

Kaan kis ne bharay hai yeh tairay
Hai to mera hi pyar jane jaan

Thak gaya din ko hosla day kar
Raat meri sanwaar jane jaan

Husn tairay se chamakta mehtaab
Aur kitna singhar jane jaan

Gaon sara hai raakh ki manind
Laa to wapas bahhar jane jaan

Mujhe basa le apne seenay mein
Mujh mein aaye nikhaar jane jaan

Ho gayi chaak garibaan meri
Nah kar itna krar jana jaan

Aakar lotao mujhe udhaar mera
Ishhq tujh pay udhaar jane jaan

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments