The ghazal
Read it in Urdu script-
Mein Pa Na Saka Kabi Is Khalsh Se Chutkara Wo Muj Se Jeet Bi Sakta Tha Jane Kun Hara
-
Baras Ke Khul Gaye Aansu Nithar Gayi Hai Faza Chamak Raha Hai Sar-e Sham Dard Ka Tara
-
Kisi Ki Aankh Se Tapka Tha Ik Imanat Hai Meri Hathili Pe Rakha Hoa Ye Angara
-
Jo Par Samete To Ik Shakh Bi Nahi Payi Khule Thay Par Tu Mera Aasman Tha Sara
-
Wo Sanp Chor De Dasna Ye Mein Bi Kehta Hoon Magar Na Chorain Gain Log Is Ko Gar Na Phankara
Poet Javed Akhtar


