Bohat Pehle Se Un Qadmon Ki Aahat Jnan Lete Hain
Tuje Aey Zindagi Door Se Pehchan Lete Hain
Meri Nazrein Bhi Aesay Qatlon Ka Jan-O Aeman Hain
Nigahen Miltay Hi Jo Jaan Or Aemna Lete Hain
Jisay Kehti Hai Dunya Kamyabi Waye Nadani
Usay Kin Qeematon Par Kamyab Insan Lete Hain
Nigah Bada Go Yun Tu Teri Baton Ka Kya Kehna
Teri Har Baat Lekin Ihtiatan Chan Lete Hain
Tabiyat Apni Ghabrati Hai Jab Sunsan Raaton Mein
Ham Aesay Teri Yaadon Ki Chadar Taan Lete Hain
Khud Apna Faisla Bhi Ishq Mein Kafi Nahi Hota
Usay Bi Kesay Kar Guzrein Jo Dil Mein Than Lete Hain
Hayat-E Ishq Ka Ik Ik Nafs Jam Shahadat Hai
Wo Jan Naz Bradaran Koi Aasan Lete Hain
Ham Ahangi Mein Bhi Ik Chashni Hai Iktilafon Ki
Meri Baten Ba-Unwan Wo Maan Lete Hain
Teri Maqboliat Ki Wajah Wahid Teri Ramziyat
Keh Us Ko Mante Hai Kab Hain Jis Ko Jaan Lete Hain
Ab Us Ko Kufar Manein Ya Bulandi-E Nazar Janen
Khuda-E Do Jahan Ko De Kay Ham Insan Lete Hain
Jisay Sorat Batate Hain Pati Deti Hai Serat Ka
Ibarat Dekh Kar Jis Tarah Ma’ani Jaan Lete Hain
Tujhe Ghata Na Hone Dey Gey Karobar-E Ulfat Mein
Ham Apne Sr Tera Aey Dost Har Ehsaan Lete Hain
Hamari Har Nazar Tujh Se Nai So Gindh Khati Hai
Tu Teri Har Nazar Se Ham Naya Peman Lete Hain
Rafeeq Zindagi Thi Abi Anees Waqt Aakhir Hai
Tera Aey Moat Ham Ye Dosra Ehsaan Lete Hain
Zamana Wardat-E Qalab Sunane Ko Tarasta Hai
Usi Se Tu Sar Aankhon Par Mera Dewan Lete Hain
Firaq Aksar Badal Kar Bhais Milta Hai Koi Kafir
Kabhi Ham Jan Lete Hai Kabi Pahchan Lete Hain