The ghazal
Read it in Urdu script-
Faqeerana aaye sada kar chale Ki miyan khush raho ham dua kar chale
-
Jo tujh bin na jeene ko kahte the ham So is ahd ko ab wafa kar chale
-
Shifa apni taqdeer hi mein na thi Ki maqdoor tak to dawa kar chale
-
Pare aise asbab payan-e-kar Ki na-char yun ji jala kar chale
-
Wo kya cheez hai aah jis ke liye Har ik cheez se dil utha kar chale
-
Koi na-umeedana karte nigah So tum ham se munh bhi chhupa kar chale
-
Bahut aarzu thi gali ki tiri So yaan se lahu mein naha kar chale
-
Dikhai diye yun ki be-khud kiya Hamen aap se bhi juda kar chale
-
Jabeen sajda karte hi karte gai Haq-e-bandagi ham ada kar chale
-
Parastish ki yaan tak ki ai but tujhe Nazar mein sabhon ki khuda kar chale
-
Jhare phool jis rang gulbun se yun Chaman mein jahan ke ham aa kar chale
-
Na dekha gham-e-dostan shukr hai Hameen daagh apna dikha kar chale
-
Gai umr dar-band-e-fikr-e-ghazal So is fan ko aisa bara kar chale
-
Kahen kya jo poochhe koi ham se 'mir' Jahan mein tum aaye the kya kar chale



