The ghazal
Read it in Urdu script-
Buri aur bhali sab guzar jayegi Ye kashti yoonhi paar utar jayegi
-
Milega na gulcheen ko gul ka pata Har ik pankhuri yun bikhar jayegi
-
Rahenge na mallah ye din sada Koi din mein ganga utar jayegi
-
Idhar ek ham aur zamana udhar Ye baazi to so bisve har jayegi
-
Banawat ki shekhi nahin rahti shaikh Ye 'izzat to jayegi par jayegi
-
Na poori hui hain umeeden na hon Yoonhi 'umr saari guzar jayegi
-
Sunenge na 'hali' ki kab tak sada Yahi ek din kaam kar jayegi


