Skip to content
SadPoetry
EN
Bas Ik Bar Kisi Ne Galay Lagaya Tha — Zafar Iqbal

Bas Ik Bar Kisi Ne Galay Lagaya Tha

Zafar Iqbal 8 couplets
  1. Bas Ik Bar Kisi Ne Galay Lagaya Tha Phir Us Ke Bad Na Mein Tha Na Mera Saya Tha

  2. Gali Mein Log Bhi Thay Meray Uske Dushman Log Wo Sab Pe Hansta Hoya Mere Dil Mein Aya Tha

  3. Is Aik Shehr Mein So Dasht Ho Gaye Abad Jahan Kisi Ne Kabi Karwan Lutaya Tha

  4. Wo Mujh Se Apna Pata Pochne Ko Aa Nikle Ke Jin Se Mein Ne Khud Apna Suragh Paya Tha

  5. Mere Wajood Se Gulzar Ho Ke Nikli Hai Wo Aag Jis Ne Tera Pairhan Jalaya Tha

  6. Mujh Ko Taana Gharat Giri Na De Payare Ye Naqsh Mein Ne Tere Hath Se Mitaya Tha

  7. Usi Ne Rop Badal Kar Jaga Diya Aakhir Jo Zihar Mujh Pe Kabi Neend Ban Ke Chaya Tha

  8. Zafar Ki Khak Mein Hai Kis Ki Hasrat Tameer Khayal-O Khwab Mein Kisi Ne Ye Ghar Bnaya Tha

Report a mistake

More by Zafar Iqbal

All poems