Skip to content
SadPoetry
EN
Arz-o-sama kahan tiri wusat ko pa sake — Khwaja Mir Dard

Arz-o-sama kahan tiri wusat ko pa sake

Khwaja Mir Dard Ghazal 9 couplets
  1. Arz-o-sama kahan tiri wusat ko pa sake Mera hi dil hai wo ki jahan tu sama sake

  2. Wahdat mein teri harf dui ka na aa sake Aayeena kya majal tujhe munh dikha sake

  3. Main wo fatada hoon ki baghair-az-fana mujhe Naqsh-e-qadam ki tarah na koi utha sake

  4. Qasid nahin ye kaam tira apni raah le Us ka payam dil ke siwa kaun la sake

  5. Ghafil khuda ki yaad pe mat bhool zeenhar Apne taeen bhula de agar tu bhula sake

  6. Ya-rab ye kya tilism hai idrak-o-fahm yaan Daure hazar aap se bahar na ja sake

  7. Go bahs kar ke baat bithai bhi kya husool Dil se utha ghilaf agar tu utha sake

  8. Itfa-e-nar-e-ishq na ho aab-e-ashk se Ye aag wo nahin jise paani bujha sake

  9. Mast-e-sharab-e-ishq wo be-khud hai jis ko hashr Ai 'dard' chahe laaye ba-khud par na la sake

Report a mistake

More by Khwaja Mir Dard

All poems