The ghazal
Read it in Urdu script-
Ab wo agla sa iltifat nahin Jis pe bhoole the ham wo baat nahin
-
Mujh ko tum se e'timad-e-wafa Tum ko mujh se par iltifat nahin
-
Ranj kya kya hain ek jaan ke saath Zindagi maut hai hayat nahin
-
Yoonhi guzre to sahl hai lekin Fursat-e-gham ko bhi sabat nahin
-
Koi dil-soz ho to keeje bayan Sarsari dil ki wardat nahin
-
Zarra zarra hai mazhar-e-khursheed Jaag ai aankh din hai raat nahin
-
Qais ho kohkan ho ya 'hali' Aashiqi kuchh kisi ki zaat nahin


