The poem
Read it in Urdu script-
Aik Chota Sa Larka Tha Main Jin Dino Ik Mele Mai Pohncha Hmakta Hoa
-
Ji Machlata Tha Ik Ik Shay Par Mgar Jeeb Khai Thi Kuch Mol Le Na Saka
-
Lot Aya Liye Hasratain Sainkron Aik Chota Sa Larka Tha Main Jin Dino
-
Khair Mehromaio Ke Wo Din Tu Gaye Aaj Mela Lga Hai Usi Shan Se
-
Aaj Chahon Tu Ik Ik Dukan Mol Lon Na Rasai Ka Ab Ji Mai Dharka Kahan
-
Par Wo Chota Sa, Alhar Sa Larka Kahan
Submitted by aleeha


